Wednesday, May 12, 2010

Bari tarap hai meri iltija k parde me . . .

Bari tarap hai meri iltija k parde me,
Main tujh ko maang raha houn dua ke parde me.
Usey bhi darr hai yeh raaz khul na jaye kahien,
Likhey hai naam mera woh hina k parde me.
Main us k Kouchey se guzra to yeh mehsoos hua,
Mujhe pukara hai us ne hawa k parde me.
Ajeeb tarz-e-maseehayi us ne dikhlaya,
Hayat meri badal di, dawa k parde me.
Is tarah chehrey ko zulfon me chupaya us ne,
K jaisey chand chupa ho ghata k parde me.

Muskurata Tera Jahaan Rahey

"DUA"
Muskurata Tera Jahaan Rahey,
Har Mushkil Teri Aasaan Rahey,
Tujhey Urooj Pey Le Jaye Tera Naseeb,
Tu iss Zameen Pey Ban K Aasman Rahey (AMEEN)

Dil se nikli dua hai humari .. .

Dil se nikli dua hai humari
zindagi me mile aapko khushia sari
gum na de khuda kabhi aapko
chaahe to ek khushi kam kar de humari.

Meri IzaT ky Liye Yehi Kafi Hey ky . . .

Meray Allah !
Meri IzaT ky Liye Yehi Kafi Hey ky Mein Tera Banda Hon
Aur Merey Fakhar ky Liye Yehi Kafi Hey ky "Tu" Mera Parverdigar Hey
"Tu" veisa He Hey Jeisa Mein Chahta Hon,
Bus "Tu" Mujh Ko veisa Bna Dey Jeisa "Tu" Chahta Hey.
Aameen.

Her Naimat, Har Khushi Aapki Ho . . .

Her Naimat, Har Khushi Aapki Ho.
Mehak Uthay Woh Manzar Jahan Hansi Aapki Ho.
Koi Lamha Aapka Udas Na Ho.
Khuda Kry Jannat Jesi Zindagi Aapki ho.

Teri Dosti mere liye 1 tohfa Khuda ka . . .

Teri Dosti mere liye 1 tohfa Khuda ka
Jo kabhi na totay woh Rishta wafa ka
Hum tujhko kabhi bhula na saken gay
Tujh se bandhan aisa, Jese Lub aur Dua ka.

Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe . . .

Waqt-e-Qudrat Le Aaya Hy Aaj Humain Us Jaga Pe''Faraz''
Chal Diye Usi Mitti Main Jis Ki Hum Amanat Tha